Thursday, August 14, 2014

Jagdo jahat

Jaane kya chahti hai, ye zindagi mujhse,
Jo har qadam pe imtihan, le rahi hai wo,
Jane kaun sa badla,waqt nikaal raha hai mujhse,
Mere khwaahishon ki kashti ko, duba rahi hai jo
...
Ye zasbaaton ki aandhi, jo hila deti hai mujhko,
Kyun nahi samajhti hai, wo meri mazboori jo
Ki bandha hun mai kuch, zindagi ke qayadon se
Bandh gaya hun mai, apne kiye gaye waadon se

Chah ke bhi ab hum, waade bhula nahi sakte
Mere andar jo chal raha hai, use kahin bata nahi sakte
Bus itna he samajh le, aye dil-e-naadaan
Mera pyar aur zimmadari he ab, hai mera jahan

Tu chahe ya na chahe, ab aye mere dil
Mere safar ko mat bana, ab tu itna mushkil
Yaad rakh tu bhi bandha hai, zindagi k qayade se
Dhadakna he hoga tujhe, tu bhi bandha hai waade se

Tujhe dhadkna hai mere, un waadon ke khaatir
Jo kiye the maine, apni mohobbat se
Tujhe dhadkna hai mere, unn sazaao ke khaatir
Jo milne hain mujhe,apni iss zindagi se

Monday, January 13, 2014

Meri Barbaadi

Bikhra hun mai iss qadar,
Jaan le tu o bekhabar,
Simatna nahi mere bus mein
Bus gin raha hun mai saanse

Ye mauth kyun aati nahi
Ye jaan kyun jaati nahi
Kyun ghuti hai zindagi
Ye saans kyun ruk jaati nahi

Mere dil k zakhmo ko,
Kyun kureda mujhe tu bata
Behad kadvi yaadon ko,
Kyun bulaya mujhe tu bata

Baat wo teri chubhi hai bahut,
Seene mein aisa dard utha,
Mujhko tadapta chor ke,
Kyun gayi tu o bewafaa

Ye mauth kyun aati nahi
Ye jaan kyun jaati nahi
Sirf dard mila hai jeene mein,
Zindagi kyun khatm ho jaati nahi

Tune mera dil hai toda,
Fir bhi ye tere liye hai rota,
Mujhper nahi to kum se kum,
Mere dil per taras kiya hota

Fir bhi jeena hai mujhe,
Ye zeher peena hai mujhe,
Kiya jo waada hai khud se,
Akela nahi chorna tujhe

Ab ye dil dhadkega bus
Aur saanse chalegi bus,
Ginta hun ab ghadiyaan apni,
Fariyaad hai ab yehi bus

Ye mauth kyun aati nahi
Ye jaan kyun jaati nahi
Kyun ghuti hai zindagi
Ye saans kyun ruk jaati nahi

Monday, January 6, 2014

Jaam

Ek jaam to bana o saaki,
Gum bhula de jo
Per uska kya karein jo ki is,
Gum ki wajah ho

Ek jaam to bana o saaki,
Gum bhula de jo,

Dil ne  jisko chaha tha,
wohi dil tod k gaya,
Mana tha jise apna,
wohi muh mod k gaya,

Jaate jaate usne ek talak,
dekha bhi na mud k,
Shikwa bhi karein kisse jab wo,
jo dhadakne ki wajah ho

Ek jaam to bana o saaki,
gum bhula de jo,

Ishq ki raah per hum,
Aankhein moond kar badhe
Ek uff tak nhi ki chahe,
kadam kitne bhi jale

Ek aansu tak na nikla magar,
Uski aankhon se,
Ab usko kya kahein jo meri,
Jeene ki wajah ho

Ek jaam to bana o saaki,
Gum bhula de jo,

Per uska kya karein jo ki is,
Gum ki wajah ho
Ek jaam to bana o saaki,
Gum bhula de jo,


- Cheers!